Essay likhne ke liye 7 stages

 Essay likhne ke liye 7  stages 

Hello dosto kesy ha aap sabhi umeed karta ho sab thek hongi hazur ho apke samne ek aur article ke Sath jis mn apko bataoga essay likhne ke 7 stages wo bhi step by step guide ke sath to chalte ha main topic ke traf

1 Planning 

Sab se pehle step Jo essay likhne ka ha wo ha planning kiyu ke planning har chez ke liye zaruri ha hamain sab se pehle ye plan Karna Hoga ke MN kis chez ke bari mn article likhne wale hn uske bad hamari planning mn essay ke related material hota hai wo sab gather karte ha 

2 Research 

Essay likhne ke liye dusri stage research ha hamain hamari essay topic ke bari mn complete research Karne Hogi aur uske related Jo bhi material ha wo gather Karna Hoga aur main topic ke a to z knowledge gather Karni Hogi

3 outline 

Essay likhne ki 3rd stage ha outline banana hamari outline aik bohat ziayda ehmiyat rakhti ha kiyun hamari essay ki outline mn wo sari chezen Jo essay mn mojod Hoti ha aur essay likhte waqt outline mn wo sabhi chezen include Karti hn.

 4 writing 

Aik baar jab outline ban gaya toh writing ki bari aati ha jis mn hum essay likhna start Karti ha aur wo chezen detail mn define Karti hai Jo essay ki outline mn mojod Hoti hn is stage mn hamain spelling aur grammar ke bohat hi khayal rakhna hota ha aur uske elwa bullet points aur heading ko bhe highlight Karna hota ha jis se hamari essay attractive lagi.

5 Revision

Jab hamari essay writing complete ho jati hai tou essay ke important stage revision aati ha jis mn hum apni essay ko start SE le kar end tak revise Karti ha aur dekhte hn ke essay mn Kon Kon se mistakes ya errors hn jaise ke spelling ya grammatical mistakes ho gyi phir un sabhi chezen ko identify Karti ha take next step mn unko improve kar sakhe

6 Editing 

Essay likhne ke 6th stage editing ha aik bar jab hum ne mistakes ko find ke diye aur grammatical errors ko identify karliye to is stage mn hm unko ko edit kar ke thek karn gi jaise ke koi spelling mistakes ha usko thek karna hua ya phir koi full stop ya comma jaise nishanyon ko bhe edit kar ke thek Karti hn 

7 Proof reading

Prof reading bhe bohat hi important stage ha jis mn hamain complete essay ko revise aur edit Karni ke bad aik akhri bar read Karti ha aur dekhte ha ke us mn koi error ya mistake tou nahi ha Prof reading essay ke akhri stage Hoti jis ke bad hamari essay likne ke stages khtm ho jati ha aur Jo essay in stage ko follow Karti ha wo bohat hi achi banti ha aur us mn hardly koi mistake Hoti ha.

Conclusion 

Essay likhna aik art ha essay likhne ke stages jo is mn bataye gyi ha agr hum wo follow Karte hn tou yeh essay bohat hi achi bani planning se la kar proof reading tak har aik essay stage bohat hi ziayda important ha

Leave a Comment